“Akela”
Ek ersa jo, mene
tanha bitaya
Jisme na tu, na
tera saya
Jagmati rato ke
andhero me,
Suraj ki bejaan
baho me,
Hazaro logo ki
raho me.
Jo mene sir
thoda uthaya,
Chehra apna
samne aya, jab khud ko has mod par akela bus akela paya
Ab ji chaha, sare
bandhan tod du,
Dil mera bhi sabke
samne khol du,
Phoolo ki khusboo
odh kar,
Panchiyo ke ghar-ghar
bol du,
Ab dastak dene me
bhi aya.
Jo darwaje
ke piche khud ko paya,
To har ghar
me bhi khud ko akela bus akela paya.
No comments:
Post a Comment